Monday 30 November 2015

Meri Maa , kash mai tujhse bol Pata !!!!!

I know how it feels to be different,
being alone and sad.
You have thousand words for share,
many secrets to reveal , but you afraid what if they wont understand?
So you remain silent and die inside slowly and slowly,
My poem is dedication for all those special children..




Bahut akela hu main Maa,
bahut tuta hua hu...
Hai pass tere aanchal ka sahara,
Fir v kismat se rutha hua hu....
Chahkar v tujhe nahi kah pata taklif main,
kitna akela hu,
hu kitna ajeeb main..
Lab pe aakar har baar baat rok deta hu main,
Siskata hu andar hi andar,
par kuchh nahi kehta mai..
nahi bolta ke kahi tujhe kho na du,
humesa tujhse najare churata hu,
kahi teri mamta ko main ro na du..
jab tu puchhti mujhse,
beta tu gumsum kyu rahta hai,
agar koi taklif hai to,
apni maa se kyu nahi kahta hai??
kyu dil me rakhata hai ghumo ka samandar?
kyu tadpata hai tu andar hi andar?
Kya kami ki hamne tu bol jara,
Na chup rah mere lal
ek baar tu man ki girhe khol jara.
Dil karta hai us waqt tujhe har baat bata du main,
kitna alag hu sabse,
tujhko jata du main..
tera hi ansh hokar,
tujhse kyu juda hu main,
shrap hu sabpe,
fir kyu kahti rab ki dua hu main??
Maa yeh taklif ab bardasht nahi hoti,
raat din na main sota hu,
aur na yeh aankhe hai soti...
tujhpe koi aanch na aaye,
is baat ka dar mujhe hardum hai hota,
kaash ya hota main tere jaisa,
ya paida na hota?? 

2 comments: