Monday 15 February 2016

PYAR KHARIDNA CHAHTA HOON MAIN

Pyar kharidna chahta hoon main,
Bolo tum daam kya loge?
Sauda kar ke dekho mujhse bhi tum,
wada hai,  munafa paoge.
Dildar bankar jaha sab kharidar baithe hain,
Jajbato ka sauda jaha sare bazar hai hota,
Humne to ishq ko kaudiyo ke bhav bikte dekhe hain .
Boli lagti jaha wafaon ki, masum sa sapna jaha taar taar hai hota.
Kharida, istemal kiya, fir jab mann bhar gaya,
pairo me pade jute kai jaise ,
purana hone par mehbub bhi badal diya.
mujhe b chahye ek mehbub sun dukandar tu,
Mujhe b koi achhi si chiz dikhaoge?
Pyar kharidna chahta hu main,
Bolo tum kya daam lagaoge ?
Kosish karunga uski wafadari bhi kharid saku,
Bechna pade khud ko, to wo b manjur mujhe,
Mehanga hoga sauda , Par usse jyada din rakh saku .
Mana gareebo ki kismat me pyar nahi hota hai,
Pa ke aisa muflish
kismat bhi apni kismat par rota hai.
Par daam hai ab pass mere bhi,
ab mai bhi pyar ka kharidar hoon,
Lo mai bhi aa gaya purane bandiso se bahar,
sare bazar mai bhi , boli lagane ko taiyyar hu.
De raha hoon tumhe keemat puri,
gurantee chahye mujhko
tum bhi bewkuf nahi banaoge ?
Pyar kharidna chahta hu main,
Bolo kya daam lagaoge ?

3 comments: